Monday, November 22, 2010

ARDHA SATYA

(stumbled upon this on net. Was an eye opener so......)

Chakravyuh mein ghusne se pehle,
kaun tha mein aur kaisa tha,
yeh mujhe yaad hi na rahega.

Chakravyuh mein ghusne ke baad,
mere aur chakravyuh ke beech,
sirf ek jaanleva nikat’ta thi,
iska mujhe pata hi na chalega.

Chakravyuh se nikalne ke baad,
main mukt ho jaoon bhale hi,
phir bhi chakravyuh ki rachna mein
farq hi na padega.

Marun ya maarun,
maara jaoon ya jaan se maardun.
iska faisla kabhi na ho paayega.

Soya hua aadmi jab
neend se uthkar chalna shuru karta hai,
tab sapnon ka sansar use,
dobara dikh hi na paayega.

Us roshni mein jo nirnay ki roshni hai
sab kuchh s’maan hoga kya?

Ek palde mein napunsakta,
ek palde mein paurush,
aur theek taraazu ke kaante par
ardh satya.